Monday, June 6, 2011

Kis tarah.....


Raat mei jhumkar aayi uski yaadein kis tarah,
Maine aankhen mundkar sam li uski baatein kis tarah..


ha hai woh meri ehsaason mei,
dil ki ansuni si wafaaon mei,
hai ab bhi uska intezaar
dhoond rahe usse kaali parchaiyon mei..


hai toh woh ek sundar pari,
jiski baaton se hai kati raatein meri,
tu door hi sahi par
aati rahi woh yaadein teri..


tu hai bewafa nahi maane dil mera,
har waqt chahe dil sath sirf tera,
tu pass nahi mere ab sahi
bas pyaar se do baatein tu kare issike liye hoon tehra..


Meri Bechainiyon ki Awaazein sunkar aayi unki aahatein kis tarah,
woh durr kaise ho gayi na janu kis tarah,
pass aane ki ummeed nahi is dil ko samjau kis tarah,
ab woh durr hai bahot ye manu kis tarah,
Lage hai 100 barso se Nigahein hai pyaasi
unko chaha hai maine is tarah...

No comments:

Post a Comment